THANK YOU...(12:00am) Special Thanks!! to Ma'am Saba Siddiqui for making us feel like a reporter...(12:01am) Thanks to all the contributors(Sidra Andlib, Rida Wasif, Sara Hamid and Rabya Nadeem)for your corporation, Tahira Baig...(12:02am)

Monday, 10 March 2014

Mazhab-e-Islam Or Humara Muashrah:


Zahoor-e-islam se qabal na koi muashra tha na hi koi mushrati zindagi bus log thy woh khate thy,piete thy,soty thy or ek dusre per zulm-o-jabar karte thy.insano ka janwaro jesa hal tha magar islam k zahoor k baad or nabi pak (s.a.w) ki ammad k baad ahista ahista logo main tabdeli ati rahi or ek muashra tarteeb diya gaya..
har door k alag alg muashrati taqaze hua karte hain agar dekha jaye tou hoozor e pak (s.a.w) k zamane main do mashra tha woh asal main islami usoolon per banaya gaya muashre main sharyat ka hona zaroori hai jo pehle zamane main thi lekin ab nhi hai. har tabqa muashre ko apne tor se tarteeb deta hai or dusra tabqa isko apni marzi se tabdeel karta hai yahi wajha hai ke humare mulk main jitni zubanen boli jati hain utna hi muashra nazar ata hai.humara mulk jesa k islami usoolon ki roshni main wajood main aya hai lekin ajj yaha 16crore musalman hone k baad bhi islam kahi nazar nahi ata...
islami muashre ki asal rooh is k panch irkan hain is k elawa imandari,suchai,mehnat jo k islami muashre main lazmi honi chahye lekin nazar nahi ati. ajj musalman hi muslamn ka dushman hai jub k qatal tou shirk karne walo per jaiz hai lekin humare muashre main ajj musalmano ko janwar ki tarha samjha jata hai jub k QURAN pak main hai k" ek insan ka qatal sari qoumiyat ka qatal hai"...
ajj humare muashre ko islami muashra kehna islami muashre ki be hurmati hai or yaha islami muashra nafiz karne k liye kisi maslak ko apnane k bajae QURAN or HADEES korehnuma banaya jae..
sochne ka maqam hai, kia humara mulk ek islami mulk hai? or kia hum musalman hone ka farz ada kar rahe hain? Zara Sochiye!!!!!.........







1 comment:

  1. Exactly...
    unfortunatly v r are not paying our responsiblties as a muslim :(

    ReplyDelete