" TEZAAB GARDI "
Aaj kal loggon ne har baat ko apni anaa ka maslah bana liya hai. insaan' insaan ka he dushman ban gaya hai . insaan doosre insaan ko takleef daine ,usko neecha dikhane main laga rehta hai. jaise ke aaj kal Mulk bhar main tezab gardi ke waqiat main tezi se izafa horaha hai
aur mamoli mamoli batoon , khohish puri na hone... ya pasand ki shadi na hone par tezab pehkna mamool banta jaraha hai. Goli insan ki jaan leti hai , jab ke tezab zindagi cheen leta hai , aur phir iska shekar hone wala insan apni tamam umer aziyat main guzar ne par majboor ho jata hai.
Khososan khawateen par tezab pehkne ke waqiat main ba-tadreej izafa horaha hai ..."shadi se inkar karne par ya dosti se mana kar daina in chooti se chooti batoon per larky apni anaa or izaat-e-nafs ki khatir larkiyoon pe teezab phaink daite hain ...."ke hum ko mana kaise kiya" ... zaida tar yeah waqiyaat punjab , gaoun ya chote illaqon main hona aam baat hai ... lehaza zarorat is aamal ki hai ke is ki rook tham ke liye koi sakht se sakht qanoon nafiz kiya jaye......!!
aur khulle-aam tezab par fori pabandi lagai jai, sirf makhsoos dukano ko mukammal certificate ke saath tezab rakhne ki ijazat di jaye aur tezab khareedne walo ke liye shanakhti card ki copy aur mukammal pata faraham karna lazmi qarar diya jai, jab ke tezab bechne aur kharidne wale ka mokammal bio-data bhi hokomat ke pas mehfooz hona chahiye. warna in waqiyaat mey izafa hota jaye ga aur insan ke pass siwaye pachtawye ke kuch nahin reh jaye ga .meri hukomat se darkhaast hai ke in hadsaat ko rokny ke liye jald se jald koi sakht qanoon nafiz kiya jaye.. ... ta ke ainad log aisa ginhona kaam karne se baaz rahain.....!!!
No comments:
Post a Comment