Dore jadeed ma jahan dosra shobo na tarakki ki hai.wahe hamarai channels na tarakki ka sath sath bai hayai aur bai pardagi ko bhe farogh diya hai.yahan hum baat kar rahai hai morning shows ki.
Aik wo waqt tha jb pakistan ki saqafat aur nazariya ko samna rakhtai hoa programs kiya jatai tha.Ab hum 21 saddi ki baat karai to is zamanai ma bai shumaar channels hai jin ma har tarah kai program nashar hotai hai aur khaas toor par morning shows mai vulgarity ki to koi haad nahi hai.loog in ko ya to actor or actresses ya phr hosts ki waja sa daikhtai hai.
Aur aj kal ka morning shows ma shadi shuda celebrities apni shadi rachanai ma masroof hai. Naaj gana ka liya bakaida larkiyan bolai jati hai aur is qadar na zeba laibas pehnai jatai hai jisko daikh kar hum khud he sharma jatai hai.
Sirf hum he nhn daikhnai walai bhe ya sochnai par majboor hai ka ye hamari saqafat ka hissa hai aur agr nhn to hamara media hamai kis moor pa lai ja raha hai.kya in sb cheezo sa hum aur hamari saqafat tarakki kar saktai hai?
zara sochiya..........!
No comments:
Post a Comment