THANK YOU...(12:00am) Special Thanks!! to Ma'am Saba Siddiqui for making us feel like a reporter...(12:01am) Thanks to all the contributors(Sidra Andlib, Rida Wasif, Sara Hamid and Rabya Nadeem)for your corporation, Tahira Baig...(12:02am)

Tuesday, 22 April 2014

Naujawan Nasal Ki Barbadi Ki Waja ....? Kya Media ?

kafi hud tak ye baat dursut bhe hai k media ne hamari naujawan nasal ko barbaad kar raha hai. channels par is tarah k programmes nashar hote hain jin ki waja se naujawan nasal par mufi aur musbit dono tarah k asraat asar karte hain likin is dauran k media main zada munfi asraat hi asar karte hoye dekhne main aiye hain
pehle din ka aghaaz qirat aur hamd o sana se hota tha jab k aaj kal aik khushgawar gaane se din ki ibtida ki jati hai taake mode acha hojaiye
aik daur tha k jab dramas k ikhtitam kisi message se hota tha aur aik aaj ka daur hai jis main zada tar dramas love story ya romance par base karte hain  jin ko naujawan nasal khaas taur par larkiyan dekh kar apne dimagh main apna ideal b tasawur karleti hain
prime hours pe aise ishtihaar dekhaiye jaate hain k ab hum family k sath dekhne main khud hi shram mehsoos karte hain jin main always aur veet k ishtihaar to aam hogaye hain in sab se media humain kya dikhana chahta hai ?.........
pakistan k paas apne bohot ache aur behter dramas maujood hain lekin turkish dramein dikha kar pata nuhi naujawan nasal k zehnoon main kya dalna chahte hain express aur urdu1 to is main baazi le ja raye hain jab k geo kahani ne aakar bhi in sab se aagay jaane ki koshish ki hai ...
is tarah k programmes ya ishtihaar dikha kar medi hamari naujawan nasal ko kya sikhana chah raha hai .yehi lagta hai k ye sikhana chah rahe hain k subah ka time gaana sun kar behter banain aur turkish drame ko best ever ka tittle dilwain 

No comments:

Post a Comment